Fart-e-heerat
hoon ki tere dard ne
Kitaboon
mie likha lafzoon ka kaha suna hi nahin
Shahid
o hamraaz thaey jo tere dil ke
Unhien
tu ne apna samjha hi nahin
Kis
se karte biyan dard ki shidat
Samaey
hai jo aisa ki samjha hi nahin
Ho chuka qutal jub mere zaat ka
Ab kya karien ge gawah jub mudda hi nahin
Youn tu dasht mi tha samandar dekhta
Bus naseeb mie tha pani hi nahin
Mehfil mie yaar ki sub kuch tu hai
Kya howa faqat jo pehlu hi nahin
Koucha-e-janaan mie ajab masti hai
Bikney ko hoon tayar gahak hi nahin
Pathar bhi hota tu moum ho jata
Tere takallum mie halawat hi nahin
Pathar jo parey mujh ko phol hi lagey
Majnoon hoon nae dhaab ka ashiq hi nahin
Lahu aya hai mere ankhon se ashk nahin
Shahid kyoun ho koi jub aarzoo hi nahin
Note:
After a very long time I managed to break a
writer's block. This blog is based on friend’s facebook status which reads in
urdu as:
ﻧﮧ ﻟﻔﻈﻮﮞ ﮐﺎ ﻟﮩﻮ ﻧﮑﻠﺘﺎ ﮨﮯ ﻧﮧ ﮐﺘﺎﺑﯿﮟ ﺑﻮﻝ ﭘﺎﺗﯽ
ﮨﯿﮟ
ﻣﯿﺮﮮ ﺩﺭﺩ ﮐﮯ ﺩﻭ ﮔﻮﺍﮦ ﺗﮭﮯ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﮨﯽ ﺑﮯ ﺯﺑﺎﮞ ﻧﮑﻠﮯ
ﻣﯿﺮﮮ ﺩﺭﺩ ﮐﮯ ﺩﻭ ﮔﻮﺍﮦ ﺗﮭﮯ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﮨﯽ ﺑﮯ ﺯﺑﺎﮞ ﻧﮑﻠﮯ