Thursday, May 8, 2014

Koucha-e-janaan mie ajab masti hai


Fart-e-heerat hoon ki tere dard ne
Kitaboon mie likha lafzoon ka kaha suna hi nahin

Shahid o hamraaz thaey jo tere dil ke
Unhien tu ne apna samjha hi nahin

Kis se karte biyan dard ki shidat
Samaey hai jo aisa ki samjha hi nahin

Ho chuka qutal jub mere zaat ka
Ab kya karien ge gawah jub mudda hi nahin

Youn tu dasht mi tha samandar dekhta
Bus naseeb mie tha pani hi nahin

Mehfil mie yaar ki sub kuch tu hai
Kya howa faqat jo pehlu hi nahin

Koucha-e-janaan mie ajab masti hai
Bikney ko hoon tayar gahak hi nahin

Pathar bhi hota tu moum ho jata
Tere takallum mie halawat hi nahin

Pathar jo parey mujh ko phol hi lagey
Majnoon hoon nae dhaab ka ashiq hi nahin

Lahu aya hai mere ankhon se ashk nahin
Shahid kyoun ho koi jub aarzoo hi nahin
 

Note:
After a very long time I managed to break a writer's block. This blog is based on friend’s facebook status which reads in urdu as:

ﻧﮧ ﻟﻔﻈﻮﮞ ﮐﺎ ﻟﮩﻮ ﻧﮑﻠﺘﺎ ﮨﮯ ﻧﮧ ﮐﺘﺎﺑﯿﮟ ﺑﻮﻝ ﭘﺎﺗﯽ ﮨﯿﮟ
ﻣﯿﺮﮮ ﺩﺭﺩ ﮐﮯ ﺩﻭ ﮔﻮﺍﮦ ﺗﮭﮯ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﮨﯽ ﺑﮯ ﺯﺑﺎﮞ ﻧﮑﻠﮯ

 

 

5 comments:

  1. Zabardast.... the most heart touching stanza is
    "Ho chuka qutal jub mere zaat ka
    Ab kya karien ge gawah jub mudda hi nahin"...
    Selection of words is Superb and Impressive...

    ReplyDelete
  2. What a come back...please keep writing

    ReplyDelete
  3. Urdu literature must b thankful to me for awakening a poet!

    ReplyDelete
  4. Bikney ko hoon tayar gahak hi nahin . . . .


    Simply bht aalaaa. . . . . .wonderfully expresses. . . . . The line narrated above is specially dedicated to myself . . . . . . bht khoob .. . . .

    ReplyDelete